I got really bored, and I thought I'd write something, this is the first time I am writing something like this in hindi. So here it goes:
"Intezaar kis cheez ka hai tujhe, yaar?
Yeh pal phir naa ayega..
khul ke jee is lamhe ko,
kar woh sab jo tune karna chaha hai..
Yeh naa soch ki log kya sochengay,
Zindagi teri hai, unki nahin,
Yeh naa milegi dobara.
Banna chaha hai jo tune hamesha se,
Woh ban Abhi,
Kehna chaha hai tune jo hamesha se,
Woh kehde Abhi.
Apni aankhon mein ek aag leke tu chal,
Reh josh mein, aur hosh mein,
Kar saamna har mushkil ka,
Jitni bhi maar pade, kuch nahi.
Manzil se jyaada hongay raaste kathin,
Par tu naa ghabra, chalte rahe yuhin,
Jeetne ke saath, harnaa bhi tu seekh,
Sab kuch hamesha nahi hota hai theek-theek.
Banna chaha hai jo tune hamesha se,
Woh ban Abhi,
Kehna chaha hai tune jo hamesha se,
Woh kehde Abhi."
"Intezaar kis cheez ka hai tujhe, yaar?
Yeh pal phir naa ayega..
khul ke jee is lamhe ko,
kar woh sab jo tune karna chaha hai..
Yeh naa soch ki log kya sochengay,
Zindagi teri hai, unki nahin,
Yeh naa milegi dobara.
Banna chaha hai jo tune hamesha se,
Woh ban Abhi,
Kehna chaha hai tune jo hamesha se,
Woh kehde Abhi.
Apni aankhon mein ek aag leke tu chal,
Reh josh mein, aur hosh mein,
Kar saamna har mushkil ka,
Jitni bhi maar pade, kuch nahi.
Manzil se jyaada hongay raaste kathin,
Par tu naa ghabra, chalte rahe yuhin,
Jeetne ke saath, harnaa bhi tu seekh,
Sab kuch hamesha nahi hota hai theek-theek.
Banna chaha hai jo tune hamesha se,
Woh ban Abhi,
Kehna chaha hai tune jo hamesha se,
Woh kehde Abhi."