I was riding on my scooty, It was drizzling and I felt like singing and the word "mannbhara" came to my mind. Was singing like a lunatic while riding (like I always do), But this time the tune and the "lyrics" were my own. So I came home and I thought I'd write a poem, that expresses how a guy feels when he gets back his love after losing her because of problems. So here it goes:
Tham si gayi thi meri zindagi,
Jo ud gayi thi humaari bandagi,
Socha na tha ki faasle itne bad jayengay..
Pata na tha ki itne door hum ho jayengay.
Lagne laga ki zindagi sahi hai tere bina..
Bhool sa gaya that tere pyaar ko, jisme hua tha main fanaa.
Par bahut daer tak yunhi main reh na paaya..
Aur apne aap se jhoot main bol na paaya.
Un lamho ko phir se jeena chahta tha..
Par daer ho chuki thi, Tu bahut door jaa chuki thi..
Sirf un yaadon pe mein jeeta tha, rota tha..
Jahan jaun mushkil hi mushkil bota tha.
Phir aur seh na saka main,
Tere bin reh na saka main..
Koshish karne laga tujhe waapas paane ki,
Tu hi mera rasta, tu hi imtehaan ban gayi.
Aakhir ek din, woh jaadoo phir se meri jindagi mein chah gaya,
Tu aayi waapas, mujhe gale lagaya,
Aur ab
Mannbhara hai mera mannbhara..Manbhara hai mera mannbhara.
Tujhe kabhi galti se bhi na khounga main,
kabhi chodke na jaunga main,
Tu hai toh lagta hai sabkuch hai mere paas,
Tu hai toh..Mannbhara hai mera mannbhara..Manbhara hai mera mannbhara.
Shyam.

No comments:
Post a Comment